সরাসরি প্রধান সামগ্রীতে চলে যান

পোস্টগুলি

মার্চ, ২০১৯ থেকে পোস্টগুলি দেখানো হচ্ছে

Pyar mein main bhi....

Pyar mein main bhi subah ko sham likhne laga hon, Har deewaron pe tera naam likhne laga hon. Ab chun chun kar kore kagaz ke tukdo ko, Sab pe tere ishq ka paigam likhne laga hon. Zamane se chori chori chupke chupke nahin, Ke dil ki baaten main khuleaam likhne laga hon. Kai roz se beqarari aur bebasi ko, Jane yaaron kyun aram likhne laga hon. Mohabbat ke nashe mein jhoom jhoom kar mere sanam, Teri hothon ko main to jam likhne laga hon.

Zameen pe utar aaya...

Zameen pe utar aaya hai mera chand yaaron, Lao pooja ki thali is ki aarti utaro. Kaliyon se bhi komal hain har aang is ke, Chot lag jayegi ise phool se bhi na maro. Yeh jo rooth kar chala gaya aasman par, To khade khade hi loot jaoge yaaron. Dekh kar ise kaheen dum na nikal jaye, Zara dil tham kar hi dekhna, kunwaron. Sun li Rab ne humari fariyad aaj, Mil gayi Devdas ko us ki paaro.

Ek deewana...

Ek deewana ko us ki deewani mil gayi, Yaar mujhe mere sapno ki rani mil gayi. Ba ummid azal ki jeer aha tha main to yahan, Par mujhe aaj meri zindagani mil gayi. Dil dheere se dhadak raha tha kayi roz se, Ab dhadkano ko baza rawani mil gayi. Maine tanha likha tha jo afsana pyar ka, Aaj wahi sunder prem kahani mil gayi. Alvida kah kar bachpan chala gaya, Nayi umang bhari jawani mil gayi.

Dil ki kaliyan...

Dil ki kaliyan jane kab bahar ban gayin, Who ladaiyan, jhagden jane kab pyar ban gayin. Akhiyan rasta dekhe har pal apne dilbar ka, Dil ki bechainiyan jane kab qarar ban gayin. Dhadkano ko bhi har ghadi usi ki zaroorat hai, Meri umra to us ke liye intezar ban gayi. Hum jeet kar bhi sab kuch har gaye sanam, Humari jeet jane kis tarah haar ban gayi.

Lahron mein sangeet...

Lahron mein sangeet hai aap se, Har labon pe geet hai aap se. Nafrat bhara is jahan mein, Ab to bus preet hai aap se. Aaj ke saath saath dilbar, Mera pyara ateet hai aap se. Na koi zaat, majhab pyar ka, Yeh purani reet hai aap se. Kisi se na kabhi harne wala, Meri to jeet hai aap se.

Nazron ka youn...

Nazron ka youn sharmana, Haye kya kahega zamana. Pahle pyar se dekhna, Phir palkon ka jhookana. Dekh kar teri adaon ko, Dil ho jayega deewana. Ban kat nasha pyar ka, Dilo dimag pe youn chhana. Bela izajat youn hi, Mere dil mein samana.

Tikhi nazar se dil pe war mat kijiye...

Tikhi nazar se dil pe war mat kijiye, Hosh kho baithen hume itna pyar mat kijiye. Waise to beqarari mein sari raat gujarti hai, Bechain dil ko aur beqarar mat kijiye. Ishq karne walon se sari duniya jalti hai, Is jahan mein mera jeena dushwar mat kijiye. Zindagi aur khushi to rab ki zaat se hain, Rab se bhi ziyada humara aitbar mat kijiye. Ke duniya shak kar baithegi hum pe, Rahon mein baith kar humara intezar mat kijiye.

Jal raha hai tan badan...

Jal raha hai tan badan tu aaja, Hosh mein nahin hai dhadkan tu aaja. Bujhti nahin duniya ke paani se, Ajib si lagi hai agan tu aaja. Lakh samjhaon par bairi mane na, Bus mein nahin hai mera mann tu aaja. Adhoori rah na jaye zameen tumhari, Puri kar ne ban kar gagan tu aaja.

Chahat mein jee kar...

Chahat mein jee kar, mar ke dekhiye, Pyar ka cheez hai, khud kar ke dekhiye. Door se dekhne mein maza nahin aata, Aankhon se dil mein utar ke dekhiye. Agar kuch dekhna hi hai duniya mein, To nazaren prem nagar ki dekhiye. Sari duniya ki khushiyan mil jaye, Pyar ko bajuon mein bhar ke dekhiye.

Lahron mein sangeet...

Lahron mein sangeet hai aap se, Har labon pe geet hai aap se. Nafrat bhara is jahan mein, Ab to bus preet hai aap se. Aaj ke saath saath dilbar, Mera pyara ateet hai aap se. Na koi zaat, majhab pyar ka, Yeh purani reet hai aap se. Kisi se na kabhi harne wala, Meri to jeet hai aap se.

ভালোবাসা দে...

ভালোবাসা দে... যে ঘুমিয়ে আছে, ঘুমিয়ে থাক, ঘুম ভাঙ্গিয়ে তাকে বলো না কি লাভ, যে জেগে আছে পথিক ডেকেনে, যে ভালো বাসতে জানে তাকে ভালোবাসা দে।।

চলে যাও...

চলে যাও সব আপন'জনা, আপন আমায় পর করে। চলে যাও সব আপন'মনা, নতুন সুখের মিথ্যে লোভে। চলে যাও সব চলে যাও, এএএ মায়া ভুলে ......